Saturday, Oct 31, 2026
📍 Lahore | 🌫️ 29°C | AQI: 4 (Poor)

Bol le lab azaad hain tere – Faiz Ahmed Faiz 

Jarida Recommends

Bol, ke lab azaad hai tere

Bol, zabaan ab tak teri hai,

Tera sutwan jism hai tera –

Bol, ke jaan ab tak teri hai.

 

Dekh ke aahangar ki dukaan mein

Tund hai shu’le, surkh hai aahan,

Khulne-lage quflon ke dahane,

Phaila hare k zanjeer ka daaman.

 

Bol, ye thora waqt bahut hai,

Jism o zabaan ki maut se pahle;

Bol, ke sach zinda hai ab tak –

Bol, jo kuchh kahna hai kah-le!

Share This Article
Leave a comment

Don’t Miss Our Latest Updates